Google adsense account approved kaise kare 2 din mein
Google Adsense Account Approved kaise kare 2 Din Mein:
Agar aapne apna blog suru kiya hai aur aap usse paise kamana chahte hai to iskeliye apko google adsense approved karna padega. 2016-2017 mein Google Adsense Approved karana utna muskil nhi tha yaha tak ki bina domain name liye bhi approval mil jata tha magar aaj jab har kisi ke pass smartphone hai aur uske sath jio sim bhi to har koi chahta hai ki woh online paise kamaye aur iska sabse acha tarika blogging hai.
Is post mein mai apko bataunga ki Google Adsense Account Approved karne ke liye apko kin baato ka dhayan rakhna zaruri hai aur agar aap in steps ko theek se follow karenge to apka google adsense account approved ho jayega 1-2 din ke andar. To yeh Rahe wo steps :-
Aapke blog par jitne bhi social media ke icons hai sab apne respective pages se linked hone chahiye yani ki jab bhi koi visitor aapke blog par aaye aur click karne kisi bhi social media icon ko toh woh click usi social media page par khulna chahiye aur agar aapke blog par icons hai jo ki aapne link nhi kiya to sabse pehle aap un icons ko link kare.

1. Domain Name
Google adsense account approved karane ke liye sabse pehle aapke pass ek Top Level Domain hona chahiye jaise ki .com, .in, .net, .org etc. Pehle free domain mein bhi Google adsense account approved ho jata tha magar aaj kal bina top level domain ke approval nhi milta hai blog pe. To sabse important step hai ki aapko ek top level domain buy karna hoga. Aap koi bhi domain provider jaise Godaddy.com se domain purchase karke usko apne blog ke sath jod sakte hai.
2. Mobile And Desktop Friendly Template
Google adsense account approved karane ke liye aapke pass ek responsive aur mobile aur desktop friendly template yani ki theme ki zaroorat padegi. Aapko is tarah ki template leni chahiye jo ki mobile aur desktop dono mei kaam kare aur jiska response time bhi acha ho aur jo ki load hone mei jada samay nhi lagata ho.
3. Mandatory Pages for websites
Third cheez jo aapko dhayan rakhni chahiye apni wesbite ko Google Adsense Account Approval ke liye submit karne se pehle ki aap ke wesbite mein kuch Pages hone zaroori hai jaise ki About us, Privacy Policy, Disclaimer, Contact us. yeh sare pages bahut zaroori hai bina iske apka google adsense account approved nhi hoga.
4. Minimum 20 Blog post
Website ko google adsense account approved karane ke liye submit karne se pehle aapke blog par minimum 20 blog post hone zaroori hai jo ki minimum 200 words mei likhe ho.
5. Social media Icons
Aapke blog par jitne bhi social media ke icons hai sab apne respective pages se linked hone chahiye yani ki jab bhi koi visitor aapke blog par aaye aur click karne kisi bhi social media icon ko toh woh click usi social media page par khulna chahiye aur agar aapke blog par icons hai jo ki aapne link nhi kiya to sabse pehle aap un icons ko link kare.
6. Footer Credit
Blog ke niche aapko ek footer credit ka option hai waha pe apke blog ka naam hona zaroori hai jaise ki designed by yourwesbite.com ya phir copywrite protected by yourwebsite.com.
7. Genuine Post
Apne blog ya website ko Google Adsense Approved karane ke liye submit karne se pehle apko yeh dhayan rakhna hai ki jo bhi post aapne apne blog par likha hai sabhi post genuine hone chahiye yani ki aapke dwara likha gaya ho kahi se bhi copied nhi hona chahiye.
8. Traffic
Google Adsense Account Approved karane ke liye sabse akhiri aur sabse important step yeh ki apke blog par thoda bahut traffic aana chahiye tabhi aapko approval milega. Traffic increase karne ke liye aap apne post ko social media pe share kar sakte hai jaise ke facebook, twitter, instagram, linkedin, etc. Traffic pane ke liye kisi bhi tarah ke bots ka istemal na kare warna approval nhi milega
Agar aap in sabhi steps ko theek tarah se follow karenge to difinately aapka apne blog par Google Adsense Account Approved ho jayega woh 1-2 din ke andar jaise mujhe approval mila tha.
Thankyou. Apko yeh post kaisa laga mujhe zaroor bataiye comment section.Aur agar acha laga to share kariye apne dosto ke sath aur hamare sath bane rahiye humara sabhi social media platforms pe dhanyawaad